Alvida Mahe Ramzan Status 2022 – Great Alvida Mahe Ramzan WhatsApp Status 2022. If you are looking for different and new whatsApp status than you are at right place. Alvida Mahe Ramadan sad status are available to post on your website.
Alvida Mahe Ramadan kalam
Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan.
Tere Aane Se Dil Khush Huwa Tha,Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.
Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.
Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.
Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.
Check out our instagram post Khamoshiyan.pk (@khamoshiyan.pk) • Instagram photos and videos
Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,Sub Sama Hogaya Suna Suna,Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.
Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.
Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.
Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana,
Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.
Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.
Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madine Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madine Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bakhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bakhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
Tum Pe Lakho Salam Mah-e-Ramzan,Tum Pe Lakho Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
Leave a reply